Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts

Sunday, September 29, 2013

Bekhudi Besabab nahiin Ghalib.. in the mesmerising voice of Abida Perveen




Phir Kuch Is Dil Ko Beqarari Hai
Sina Zoya-e-zakhm-e-kari Hai


Phir Usi Bewafa Pe Marte Hain
Phir Wahi Zindagi Hamari Hai

Phir Diya Para-e-jigar Ne Sawal
Ek Fariyad-o-ah-o-zari Hai

Phir Hue Hain Gawah-e-ishq Talab
Ashqbari Ka Hukm jari Hai

Dil-o-mizshgan Ka Jo Muqadma Tha
Aj Phir Us Ki Rubqari Hai

Bekhudi Besabab Nahi 'ghalib'
Kuch To Hai Jis Ki Pardadari Hai 




Thursday, August 22, 2013

Beautiful naat by Hafiz Tahir Qadri



Hafiz Tahir Qadri New Ramzan Album 2013 Naat... by Ghulam-e-Raza

Beautiful naat by Hafiz Tahir Qadri. Naats are always beautiful, it amazes me how words and expressions become exalted and blissful as they're used to convey the naat of the BELOVED Prophet (S.A.W). naat soothes the heart and soul. Heals all wounds! <3 p=""> The most heart-touching verse of this naat
Madinay ki judai jab satati hai ghareebon ko,
Woh apne peer ka daaman pakar ke naat perhtay hain


Sunday, August 18, 2013

jo utar ke zeena-e-shaam se teri chashm-e-Khush mein sama gaye
wohi jaltey bujhtey se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa gaye

yeh ajeeb khail hay ishq ka main ney aap dekhaa yeh mojza
woh jo lafz meray gumaan mein thay woh teri zubaan par aa gaye 

woh jo geet tum ne suna nahin meri umar bhar kaa riyaz tha
meray dard ki thi daastaan jisey tum hansii mein ura gaye 

woh chiragh-e-jan kabhi jis ki law na kisi hawa se nigoon hui
teri bewafai key wasvsay usey chupke chupke bujhaa gaye 

woh tha chand shaam-e-visaal kaa ke thaa roop terey jamal ka
meri rooh sey meri aankh tak kisi roshni mein naha gaye 

ye jo bandagaan-e-niyaaz hain ye tamaam hai voh lashkari
jinhein zindagii ne aman na di to tere huzoor mein aa gaye 

teri berukhi key dayaar mein main havaa ke saath havaa huaa
tere aainey ki talaash mein merey Khwaab chehra ganva gaye 

tere wasvason ke fishar mein tera shehar-e-rang ujar gaya
meri khwahishon ke ghubaar mein meray maah-o-saal-e-vafaa gaye 

woh ajeeb phool sey lafz thay tere honth jin se mahak uthe
mere dasht-e-Khwab mein door tak koi bagh jaisey lagaa gaye 

meri umer sey na simat sakey meray dil mein itney sawal thay
teray paas jitney jawaab thay meri eik nigaah mein aa gaye



Friday, March 23, 2012

Nahiin nigah mein manzil to justuju hi sahi (Abida sings Faiz Ahmad Faiz)

Nahiin nigah mein manzil to justuju hi sahi,
 nahi wisal mayassar to aarzoo hi sahi.


Na tan mein khoon faraham na ashk aankhon mein,
Namaz-e-shoq to wajib hai bewuzu hi sahi. 


Kisi tarha to jamay bazm may-kaday walo,
nahiin jo baada-o-saaghar to hao-hoo hi sahi. 


Gar intezar kathin hai to jab talak ae dil! 
kisi ke waada-e-farda ki guftugu hi sahi. 


Dayaar-e-ghair mein mehram agar nahi koi 
to Faiz zikr-e-watan apne ru baru hi sahi.

Saturday, March 17, 2012

Jo ruk jao to tanha ho



Kuch panchi jhund mein urtay hon,
aur rasta bhi kuch mushkil ho,
kuch dur ufaq pe manzil ho,
Ik panchi ghayal ho jaye.

Or be-dum ho ker gir jaye,
To rishtay naatay pyaray sab,
Kb is ki khatir ruktay hain?

is dunya ki hai reet yahi,
Jo sath chalo to sath bohat
Jo ruk jao to tanha ho!

(Author: Unknown) Shared by my wonderful friend Irum!

Friday, January 20, 2012

Ae Des Se Aanay walay bata..


Beautiful poetry written by Ahmad Faraz in the mesmerizing voice of Abida Parveen. The poetry reflects feelings of the poet who is far from homeland and his desperation to know about his friends and fellows. He inquires from a visitor from his beloved homeland in these beautiful and touching words!



Oh Des se aanay walay bata
kis haal mein hain yaran-e-watan,
Woh bagh-e-watan firdos-e-watan
Kia ab bhi wahan ke baaghon mein mastana hawaien aati hain?
Kia ab bhi wahan ke parbat per ghanghor ghataein chaati hain?
Kia ab bhi wahan ki barkha'ein waisay hi dilon ko bhaati hain?
Oh des se aanay walay bata
Woh sheher jo hum se choota hai,
Woh shehr hamara kaisa hai?
Sub log hamein pyaray hain magar,
Woh jaan se pyara kaisa hai?
Oh des se aanay walay bata
kia ab bhi watan mein waisay hi sarmast nazaaray hotay hain?
kia ab bhi sohani raaton mein woh chand sitaray hotay hain ?
Hum khail jo khaila kertay thay ab bhi woh saray hotay hain?
Oh des se aanay walay bta
Shab bazm-e-hareefaan sajti hain?
Ya sham dhalay so jatay hain?
Yaaron ki basar auqaat hain kia?
Her anjuman aara kaisa hai?
kia ab bhi mehektay mandir se naqus ki awaz aati hai?
kia abhi muqaddas majid per mastana azan tharraati hai?
kia ab bhi wahan ke panghat per
panhariyaan pani bharti hain?
Angrai ka naksha ban ban ker,
sub mathay per gaagar dharti hain?
or apne gharon ko jatay huay,
Hansti hui chohrein kerti hain?
Oh des se aanay walay bata
Mehran lahoo ki dhaar hua?
Bolab bhi kia gulnar hua?
kis rang ka hai darye-e-attock?
Ravi ka kinara kaisa hai?
Ae des se aanay walay magar,
Tum ne to na itna bhi poocha,
Woh qavi jisay banvas mila,
woh dard ka maara kaisa hai?
Oh des se anay walay bata
kia ab bhi kisi ke seenay mein,
baaki hai hamari chah bata?
kia yaad hamein bhi kerta hai,
ab yaaron mein koi aah! bata!
Oh des se aanay walay bata
lillah bata lillah bata!


Sunday, January 15, 2012

Yaad-e-Mazi mein jo aankhon ko saza di jaye!








Yaad-e-Maazi mein jo aankhon ko saza di jaye,


Is se behtar hai ke her baat bhula di jaye.



Jis se thori si bhi umeed ziyada ho kabhi,


Aisi her shama Sar-e-Sham bujha di jaye.



Meinay apnon ke rawaiye se ye mehsoos kiya,


Dil ke aangan mein bhi deewaar utha di jaye.



Meinay yaaron ke bicharnay se yeh seekha "Mohsin",


Apne dushman ko bhi jeenay ki dua di jaye!

Mein Dil se Baatain kerta tha!
























Main dil se baatain karta tha,


Dil mujhe se baatain karta tha,


Main uski sunta rehta tha,


Woh meri sunta rehta tha,


Hum dono apni baatain bus Ik doojay hi se kehtay thay,


Or ik doojay ki baaton per hum ghanton hanstay rehtay thay,


Main dil ka dost hi acha tha,


Dil mera dost hi acha tha,


Woh meray dard samajhta tha,


Mein us ka dard samajhta tha,


Phir dil ne mujh se chaal chali,


Woh teri raah pe chal nikla,


Ab mein bhi tanha rehta hoon,


Or dil bhi tanha rehta hai!

Wednesday, April 28, 2010

Usay Hum Yaad Ayenge!




Sitara dekh ker toota,
Usay hum yaad ayenge.
kisi se saath jab choota,
usay hum yaad ayenge.
Abhi to urr raha hai woh nai chahat ke par le ker,
Jo us ka Par kabhi toota,
usay hum yaad ayenge.
usay jis per yaqeen hai aaj to iman ki had tak,
wohi nikla jo kal jhoota,
usay hum yaad ayenge.
us ke ashk palkon se chune ga kon phir jaane,
Kisi se woh kabhi rootha,
usay hum yaad ayenge.
Muhabbat ke safar mein har koi mukhlis nahi milta,
kisi rahzan ne jab loota,
usay hum yaad ayenge!

Sunday, January 10, 2010

Ab to itna bhi ho nahi paaey (Ahmad Faraz)


Ab to itna bhi ho nahi paaey,
Rona chaha to ro nahi paaey
Hum se ta’abeer-e-Khawab Poochtay ho
Zindagi bhar jo so nahi paaey
MuddatoN Gham ki Parwarish ki hai
Yeh Silay aaj to nahi paaey
Justajoo RaaigaaN nahi thi magar
Jin ko Chaha tha woh nahi paaey
Kyun gila hum se ho kisi ko FARAZ
Hum to apnay bhi ho nahi paaey!

Monday, December 21, 2009

Hamein Khud apnay tajassus se hain Gilay kiya kiya.. (Amjad Islam Amjad)


Hamein khud apnay tajassus se hain gilay kiya kiya


Woh baat us mein nahi thi jo us ke naam mein thi


tujhay talashna goya ufaq ko choona tha


wohi safar mein thi haalat ke jo qayaam mein thi


Nigah-e-Khaas jo hoti to dekhta koi


woh aik baat jo teri nigaah-e-Aam mein thi


Chamak raha tha hawaaon ki aasteen mein lahu


idhar zameen bahaaron ke ahtamaam mein thi


Yeh kis ne loot liye qaaflay sitaaron ke


sahar ki tegh to Amjad abhi niyaam mein thi!

Monday, November 30, 2009

Shaam thi Sa'at-e-Zawaal mein gum
Zakhm tha apnay indmaal mein gum
Had-e-Idraak mein Tha Jo bhi kuch
Sub Tha bus aik hi Sawaal Mein gum
Tez Aandhi mein kia charaagh ki lo
Barf mein kaisi Aabla Paaai?
Carnas mein thay phool sookhay huay
Seerhiyon mein bichi thi tanhai
Khawaab thay khirkiyon mein aawaizaan
Zeenat-e-Taaq thi shakeebai
Aik Na taaqati thi chaaron taraf
Raasta raasta thi paspaai
Kehkashaon ke darmiyaan Larzaan
Aik na mohtatim si pehnai
Faaslay thay faraib aankhon ka
Naapta kon Gham ki gehrai
Ik Guraizaan se aks ki khaatir
Ainay ho rahay thay sodai
Yoon sitaray thay muntazir jaisay
Dar-e-Mehboob per tamannai
Waqt tha roz-o-Shab ki chaal mein gum
Mein tha apnay kisi khayaal mein gum!

(Amjad Islam Amjad)

Tuesday, November 3, 2009

Teray Hotay huay Mehfil Mein Jalaatay hain Charagh!



Teray Hotay huay Mehfil Mein Jalaatay hain charaagh

Log Kiya saada hain Sooraj ko Dikhaatay hain Charagh!


Apni Mehroomi Ke Ahsaas Se Sharminda hain

Khud to Rakhtay Nahiin auron ko Bujhaatay hain Charaagh


Bastiyaan Door hui jaati hain Rafta Rafta

Wameedum Aankhon se chuptay chalay jaatay hain Charagh


Kiya khabar un ko ke Daaman Bhi Bharak Uthtay hain

Jo Zamaanay Ki hawaon Se bachaatay hain Charaagh


Go Sayah Bakht hain hum log magar roshan hai Zameer

Khud Andheray mein hain auron ko dikhatay hain Charagh


Bastiyaan Chaand Sitaaron ki Basaanay Walo

Kurra-e-Arz pe bujhtay Chalay Jaatay hain Charaagh


Aisay Bedard huay hum bhi ke ab Gulshan per

Barq Girti hai to Zindaan mein Jalaatay hain Charaagh


Aisi Taareekiyaan Aankhon Mein Basi hain Ke FARAZ

Raat to raat hai hum Din Ko Jalaatay hai Charaagh!


(Ahmad Faraz)

Tuesday, October 6, 2009

Tu ke Sham'-e-Shaam-e-Firaaq hai Dil-e-Namuraad sambhal ke ro! (Ahmad Faraz)



Tu ke Sham'-e-Shaam-e-Firaaq hai, Dil-e-Namuraad sambhal ke ro

Yeh kisi ki bazm-e-Nishat hai yahan Qatra Qatra pighal ke ro

Koi aashna ho ke ghair ho na kisi se haal bayan ker

yeh Kithor logon ka shehr hai kahiin door paar nikal ke ro

Kisay kiya pari sar-e-Anjuman Ke sunay woh teri Kahaniyaan

Jahan koi tujh se bichar gaya ussi rah-Guzaar pe chal ke ro

Yahan aur bhi hain garifta dil kabhi apnay jaison se ja ke mil

Teray dukh se kam nahiin jin ke dukh kabhi un ki aag mein jal ke ro

Teray doston ko khabar hai sub teri bekali ka jo hai sabab

tu bhalay se us ka na zikr ker tu hazaar naam badal ke ro

gham-e-Hijr laakh kara sahi pe Faraz kuch to khayal ker

Meri jaan yeh mehfil-e-Shair hai tu na saath saath ghazal ke ro!

(Ahmad Faraz)

Saturday, October 3, 2009

Woh jiski deed mein lakhon musarratein pinhaan! (Faiz)

http://http://www.youtube.com/watch?v=Hx-1VIbBFok&feature=related
Woh jiski deed mein laakhoN masarrateiN pinhaaN

Woh husn jiski tamanna mein jannateiN pinhaaN

Hazaar fitnay tah-e-paa-e-naaz khaak-e-nasheeN

Har eik nigaah khumar-e-shabaab se rangeen

Shabaab jis se takhaiyul pe bijliyaan barsein

Waqaar jiski rafaqat kou shokhiyaan tarseiN

Ada-e-laghzish-e- paa par qyamatein qurbaan

Bayaz-e-rukh pe sahar ki sabahatein qurbaan

Siyaah zulfoun mein waraftaa nikhatoun ka hujoom

Taweel raatoun ki khwabeedah raahatoun ka hujoom

Vo aankh jiski banaun pe khaliq dey raae

Zabaan-e- shair kou tareef kartey Sharm aye

Gudaz jism qaba jispe saj ke naaz karey

Daraaz qad jisey sarw-e-sahi namaz karey

Kisi zamaney mein is rah-guzar sey guzraa thaa

Ba-sad guroor-o-tajammul idhar sey guzraa thaa

Aur ab ye raah guzar bhi hai dilfareb-o-haseeN

hai uski khaak mein kaife sharab-e-sair makeen

Hawa mein shokhi-e-raftaar ki addaen hain

Faza mein narmi-e-guftaar ki sadaen hain

Gharz vo husn is raah ka juzu-e-manzar hai

Neyaaz-e-ishq kou eik sajda gaah mayassar hai
(Faiz)