Tuesday, November 3, 2009

Teray Hotay huay Mehfil Mein Jalaatay hain Charagh!



Teray Hotay huay Mehfil Mein Jalaatay hain charaagh

Log Kiya saada hain Sooraj ko Dikhaatay hain Charagh!


Apni Mehroomi Ke Ahsaas Se Sharminda hain

Khud to Rakhtay Nahiin auron ko Bujhaatay hain Charaagh


Bastiyaan Door hui jaati hain Rafta Rafta

Wameedum Aankhon se chuptay chalay jaatay hain Charagh


Kiya khabar un ko ke Daaman Bhi Bharak Uthtay hain

Jo Zamaanay Ki hawaon Se bachaatay hain Charaagh


Go Sayah Bakht hain hum log magar roshan hai Zameer

Khud Andheray mein hain auron ko dikhatay hain Charagh


Bastiyaan Chaand Sitaaron ki Basaanay Walo

Kurra-e-Arz pe bujhtay Chalay Jaatay hain Charaagh


Aisay Bedard huay hum bhi ke ab Gulshan per

Barq Girti hai to Zindaan mein Jalaatay hain Charaagh


Aisi Taareekiyaan Aankhon Mein Basi hain Ke FARAZ

Raat to raat hai hum Din Ko Jalaatay hai Charaagh!


(Ahmad Faraz)

No comments: