Sunday, August 18, 2013

jo utar ke zeena-e-shaam se teri chashm-e-Khush mein sama gaye
wohi jaltey bujhtey se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa gaye

yeh ajeeb khail hay ishq ka main ney aap dekhaa yeh mojza
woh jo lafz meray gumaan mein thay woh teri zubaan par aa gaye 

woh jo geet tum ne suna nahin meri umar bhar kaa riyaz tha
meray dard ki thi daastaan jisey tum hansii mein ura gaye 

woh chiragh-e-jan kabhi jis ki law na kisi hawa se nigoon hui
teri bewafai key wasvsay usey chupke chupke bujhaa gaye 

woh tha chand shaam-e-visaal kaa ke thaa roop terey jamal ka
meri rooh sey meri aankh tak kisi roshni mein naha gaye 

ye jo bandagaan-e-niyaaz hain ye tamaam hai voh lashkari
jinhein zindagii ne aman na di to tere huzoor mein aa gaye 

teri berukhi key dayaar mein main havaa ke saath havaa huaa
tere aainey ki talaash mein merey Khwaab chehra ganva gaye 

tere wasvason ke fishar mein tera shehar-e-rang ujar gaya
meri khwahishon ke ghubaar mein meray maah-o-saal-e-vafaa gaye 

woh ajeeb phool sey lafz thay tere honth jin se mahak uthe
mere dasht-e-Khwab mein door tak koi bagh jaisey lagaa gaye 

meri umer sey na simat sakey meray dil mein itney sawal thay
teray paas jitney jawaab thay meri eik nigaah mein aa gaye



No comments: