KahaaniaN na suno aas paas logoN ki
Ke mera shehr hai basti udaas logoN ki
Na koi simt, na manzil to qaafila kaisa?
Rawaan hai bheer faqat be-qayaas logoN ki
Kisi se pooch hi letay wafa ke baab mein hum
Kami nahiin thi zamana shanaas logoN ki
Muhabbaton ka safar khatm to nahiiN hoga
Baja ke dosti ai na raas logoN ki
Hamein bhi apnay kai dost yaad aatay hain
Kabhi jo baat chalay na sapaas logoN ki
Kero na apni bala noshiyoN ke yooN charchay
Ke is se aur bharakti hai piyaas logon ki
Mein Aanay waalay zamanoN se darr raha hooN FARAZ
Ke meinay dekhi haiN aakheiN udaas logoN ki

No comments:
Post a Comment