Monday, December 21, 2009

Aqwaal-e Mola Ali (R.A)



  • Apnay Bachon ko woh taaleem na do jo tumharay walidein ne tum ko di hai, kyunke un ka zamana tumharaya zamanay se mukhtalif hai.

  • Apni Qismat per wohi rotay hain jin ko sajdon mein rona nahi aata.

  • Insaan kailiye doosron ki muhabbat teen cheezon se barhti hai; Salaam kernay se, doosron ko jaga denay se, aur sahi naam se pukaaranay se.

  • Aay Khuda jab mein ne tujh se nahi manga to tu ne mujhay ataa kiya to yeh kaisay ho sakta hai k mein tujh se magoon aur tu mujhay ataa na keray

  • Ziada nafa pohunchanay wala ilm woh hai jis per amal kiya jaey. Sub se fazeelat wala amal woh hai jis mein ikhlaas ho. Aur sub se behtar Ma’arifat yeh hai ke insaan apnay nafs ko pehchaanay.

  • Sub se buri sachchai chughal khori hai, sub se bura keena deen ke imamon ke saath keena hai, aur sub se bari khiyaanat ummat ke saath khiyaanat hai.

No comments: